Quote:

The amount of happiness that you have depends on the amount of freedom you have in your heart
Showing posts with label Art. Show all posts
Showing posts with label Art. Show all posts

Friday, 13 April 2012

Qiyamat ki nishani

Sunday, 8 April 2012

Shukar hai tera, to hai laasani


Shukar hai tera,    to hai laasani
Main gunaahon se labraiz hon
too Ghafoor-ur-Raheem hai
Shukar hai tera
too he kareem hai


Wednesday, 4 April 2012

Love Art

 Beautiful stylish,  Written in creative style


Friday, 2 March 2012

Yeh Saari masti to apny hi khoon ki hai iqbal

Yeh Saari masti to apny hi khoon ki hai "iqbal"
Agar nasha sharab me hota to bottel bhee naachti.


Thursday, 1 March 2012

Me tujh ko btataa hun, taqdeer-e-ummam kiya hai,

Ahwaal-e-Muhabbat me kuch fark nahi aesa
Soz-o-tab-otaab Awal, Soz-o-tab-o-taab aakhir (Iqbal)
احوالِ محبت میں کچھ فرق نہیں ایسا
سوزو تب و تاب اوّل ، سوزو تب و تاب آخِر(اقبال)۔
Me tujh ko btataa hun, taqdeer-e-ummam kiya hai,
Shamsheer-o-Sanaa Awal,  Taaous-o-Rabaab aakhir
میں تجھ کو بتاتا ہوں ، تقدیرِ اُمَم کیا ہے
،
شمشیر و سنا اوّل ، طا ئوس و رباب آخِر



Tuesday, 28 February 2012

kitna maasoom dil tha kis rastey par yeh nikal giya..(Maasoom Dil)

Maasoom Dil
aitbaar b us pe kar betha jo intehaa ka sangdil tha
thaam k haath zindagi bhar k liye beech rastey choor giya
kitna maasoom dil tha kis rastey par yeh nikal giya..



Mekhaana-e-europ k dastoor niraley hain

Mekhaana-e-europ k dastoor niraley hain
laatey hain saroor awwal, detey hain sharaab aakhir



MUHAMMAD (PBUH) BEAUTIFUL CREATIVE NAME

Beautiful Hazrat MUHAMMAD (PBUH) NAME



Monday, 27 February 2012

Woh Manzileyn bhee kho gain, Woh raastey bhee kho gaye

Woh Manzileyn bhee kho gain
Woh raastey bhee kho gaye
Jo aashna sey log they
woh ajnabi sey ho gaye



Sunday, 26 February 2012

Mujhey aarzoo-e-sahar nahi

Mujhey aarzoo-e-sahar nahi

Yunhi Raat Bhar bari dair tak,
Na bikhar saka na simat saka
Yunhi raat bhar bari dair tak,

Hai bohat azaab aur Akeley hum
Shab-e-gham bhee meri taweel tar,

Rahi zindagi saraab aur

Rahi aankh bari dair tak,

Yahan har taraf hai alag samaan

Sabhii khud pasand

Sabhii khud numaa,

Dil-e-Beqaraar ko na mila

Koi chaara-garbari dair tak,

Mujhey zindagi hai aziz tar

Isi wastey Mere Hamsafar…………

Mujhey Qatra Qatra pila “Zehar”,

Jo karey Asar…………,
Bari Daaaair tak……………………..!



Sunday, 19 February 2012

Rishwat aam......Traffic Jaam

Pesa chalta hai to ..
Peyyah chalta hai............

Rishwat aam..........Traffic Jaaaaaaam



Facebook Questions

Facebook Questions

Paper me sawal Simple Book se he aaty hain,
Facebook sy qun nhi......?


Tuesday, 14 February 2012

Monday, 13 February 2012

Har moor pe miltey hain hamdard hazaron,

Har moor pe miltey hain hamdard hazaron,
Lagta hai shehar mein adakaar bohat hain


Sunday, 12 February 2012

Usi ek fard k wasty mere dil me dard he kis liye, tera rang zard hai kis liye

Ussi ek fard k wasty mery dil main dard hy kis liy

Meri zindagi ka mutalba wohi ek fard hy kis liy....??

Tu jo shaher main hi muqeem hy to musafrat ki fiza hy kion
Tera kaarwan jo nahi gaya to hawa main gard hy kis liy...??

Na jamal.o.husn ki bazm hy, na junoon.0.ishq ka azm hy
Sar.e.dasht raqs main her ghari koi baad gard hy kis liy...??
Jo likha hy mery naseeb main kahin Tu ny parh to nahi lia

Tera hath sard hy kis liy? Tera rung zard hy kis liy......... ....?
Wo jo tark.e.rabt ka ehad tha kahin tootny to nahi laga
Tery dil k dard ko dekh ker Mery dil main dard hy kis liy??
Koi wasta jo nahi raha Teri aankh main yeh numi hy kion
Mery ghum ki aag ko dekh ker Teri aah sard hy kis liy???
Tera Rang Zard Hai Kis Liye????



Tuesday, 7 February 2012

Shetaan kesy hamla krta hai

Mujhey awaz de dena

Mujhey aawaz de dena

kabhee Icecream lao to

kabhee murghi pakao to,

kabhee picnic pejao to,

Mujhey aawaz de dena,

Wallet me maal ziada ho to

jo shoping ka irada ho,

kabhee dawat me jana ho,

kisi ko dinner pe bulana ho,

Mujhey aawaz de dena.

kisi shadi me jana ho,

jesey he start khana ho,

Mujhey aawaz de dena.

kabhee kisi sey larna ho,

to....mujhey disturbe mat krna.



Sunday, 5 February 2012

Jashn-e-Aamad-e-Rasool(PBUH)


Digicom007.blogspot.com

   
۩۞۩ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ.  وَ أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ۩۞۩

 


Wednesday, 1 February 2012

Ya Rabb dikha dey aaj ki shab jalwah-e-Habib


Ya Rabb dikha dey aaj ki shab jalwah-e-Habib
ek baar to atta ho ziayarat Rasool (PBUH) ki