Quote:

The amount of happiness that you have depends on the amount of freedom you have in your heart
Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Saturday, 17 March 2012

koi muhabbat b saath rahy

Duniya Faani

Na waqat kisy da intezaar kary
Na mout koi ihsaas kary


Mujhy krna jo, abhi krna hai
Meri sifarish kisey na yaar ne krni
Hamdardi koi na maa-baap ne krni
Na yaar kary na dildaar kary


Rooh tarapdi , bhatakdi jidon howey gi
hamdardi v saary chutt jawan gy
Sab rishtey naat-ey tut jawan gy








Fe apni he ne-ki kam awey gi
Shifa'at MUHAMMAD (PBUH) di kam aawey gi


Jehra MUHAMMAD (PBUH) di muhabbat nu thukra betha
Us diniya v gawa lai, te KHUDA di khudai nu thukra betha


Kar ley muhabbat MUHAMMAD nal "Farrukh"
RABB di razaa v apnaa ley............!
Ay maal-o-zar ty ek dhooka ay
Duniya faani aakhir muk jaani ay


MUHAMMAD (PBUH) di muhabbat kamm aawey gi
Bass,,,,,,,,KHUDA di khudai reh jawey gi.



Friday, 2 March 2012

Yeh Saari masti to apny hi khoon ki hai iqbal

Yeh Saari masti to apny hi khoon ki hai "iqbal"
Agar nasha sharab me hota to bottel bhee naachti.


Thursday, 1 March 2012

Me tujh ko btataa hun, taqdeer-e-ummam kiya hai,

Ahwaal-e-Muhabbat me kuch fark nahi aesa
Soz-o-tab-otaab Awal, Soz-o-tab-o-taab aakhir (Iqbal)
احوالِ محبت میں کچھ فرق نہیں ایسا
سوزو تب و تاب اوّل ، سوزو تب و تاب آخِر(اقبال)۔
Me tujh ko btataa hun, taqdeer-e-ummam kiya hai,
Shamsheer-o-Sanaa Awal,  Taaous-o-Rabaab aakhir
میں تجھ کو بتاتا ہوں ، تقدیرِ اُمَم کیا ہے
،
شمشیر و سنا اوّل ، طا ئوس و رباب آخِر



Tuesday, 28 February 2012

kitna maasoom dil tha kis rastey par yeh nikal giya..(Maasoom Dil)

Maasoom Dil
aitbaar b us pe kar betha jo intehaa ka sangdil tha
thaam k haath zindagi bhar k liye beech rastey choor giya
kitna maasoom dil tha kis rastey par yeh nikal giya..



Mekhaana-e-europ k dastoor niraley hain

Mekhaana-e-europ k dastoor niraley hain
laatey hain saroor awwal, detey hain sharaab aakhir



Monday, 27 February 2012

Woh Manzileyn bhee kho gain, Woh raastey bhee kho gaye

Woh Manzileyn bhee kho gain
Woh raastey bhee kho gaye
Jo aashna sey log they
woh ajnabi sey ho gaye



Sunday, 26 February 2012

Mujhey aarzoo-e-sahar nahi

Mujhey aarzoo-e-sahar nahi

Yunhi Raat Bhar bari dair tak,
Na bikhar saka na simat saka
Yunhi raat bhar bari dair tak,

Hai bohat azaab aur Akeley hum
Shab-e-gham bhee meri taweel tar,

Rahi zindagi saraab aur

Rahi aankh bari dair tak,

Yahan har taraf hai alag samaan

Sabhii khud pasand

Sabhii khud numaa,

Dil-e-Beqaraar ko na mila

Koi chaara-garbari dair tak,

Mujhey zindagi hai aziz tar

Isi wastey Mere Hamsafar…………

Mujhey Qatra Qatra pila “Zehar”,

Jo karey Asar…………,
Bari Daaaair tak……………………..!



Monday, 13 February 2012

Har moor pe miltey hain hamdard hazaron,

Har moor pe miltey hain hamdard hazaron,
Lagta hai shehar mein adakaar bohat hain


Sunday, 12 February 2012

Usi ek fard k wasty mere dil me dard he kis liye, tera rang zard hai kis liye

Ussi ek fard k wasty mery dil main dard hy kis liy

Meri zindagi ka mutalba wohi ek fard hy kis liy....??

Tu jo shaher main hi muqeem hy to musafrat ki fiza hy kion
Tera kaarwan jo nahi gaya to hawa main gard hy kis liy...??

Na jamal.o.husn ki bazm hy, na junoon.0.ishq ka azm hy
Sar.e.dasht raqs main her ghari koi baad gard hy kis liy...??
Jo likha hy mery naseeb main kahin Tu ny parh to nahi lia

Tera hath sard hy kis liy? Tera rung zard hy kis liy......... ....?
Wo jo tark.e.rabt ka ehad tha kahin tootny to nahi laga
Tery dil k dard ko dekh ker Mery dil main dard hy kis liy??
Koi wasta jo nahi raha Teri aankh main yeh numi hy kion
Mery ghum ki aag ko dekh ker Teri aah sard hy kis liy???
Tera Rang Zard Hai Kis Liye????



Tuesday, 7 February 2012

Mujhey awaz de dena

Mujhey aawaz de dena

kabhee Icecream lao to

kabhee murghi pakao to,

kabhee picnic pejao to,

Mujhey aawaz de dena,

Wallet me maal ziada ho to

jo shoping ka irada ho,

kabhee dawat me jana ho,

kisi ko dinner pe bulana ho,

Mujhey aawaz de dena.

kisi shadi me jana ho,

jesey he start khana ho,

Mujhey aawaz de dena.

kabhee kisi sey larna ho,

to....mujhey disturbe mat krna.



Wednesday, 1 February 2012

Ya Rabb dikha dey aaj ki shab jalwah-e-Habib


Ya Rabb dikha dey aaj ki shab jalwah-e-Habib
ek baar to atta ho ziayarat Rasool (PBUH) ki


Tuesday, 31 January 2012

Friday, 27 January 2012

Heart Art

وہ اکثر کہا کرتا تھا کہ زندگی تمہارے نام کردی ہے
نا جانے زندگی ہمارے نام کر کے وہ خود کس کا ہو گیا۔


Tuesday, 24 January 2012

Kisi ko yaad krney waley hum na they

Kisi ko yaad krney waley hum na they
kisi ki muhabbat main tarapney waley hum na they
aadat si hogai hai tumheyn yaad krny ki
warna .....kisi ko yaad krny waley hum na thy


Sunday, 22 January 2012

Teen-Char bachcho se Ek Maan pali nahi jati

Jab kisi ne pucha Muhabbat kaha hai??
Meri Nazar Maan ke chehre par jakar atak gai.

Maan ki Dua kabhi khali nahi jati
Maan ki Bad-Dua kabhi tali nahi jati,

Kapde-Bartan Maanj kar bhi Maan Teen-Char bachche paal leti hai
Magar Teen-Char bachcho se Ek Maan pali nahi jati.!!!

Kyoon Khayaal Nahin Rehta Humko Unka,
Wo To bas har pal hamari Yaad Karti Hai,

Jab Bhi uthati hai haath dua ke liye
Sabse Pehle Hamari Salamati Ki Dua Karti hai


Kuch Bari baat thi hotey jo Musalmaan bhee aik....!



Harm-e-Paak bhee  ALLAH bhee Quraan bhee aik
Kuch Bari baat thi hotey jo Musalmaan bhee aik....!


Saturday, 14 January 2012

Muhabbat ki zanjeer se Dar lagta ha, Kuch apni taqdeer se dar lagta hai

Muhabbat ki zanjeer se Dar lagta ha,
Kuch apni taqdeer se dar lagta hai,

jo mujh ko aap se juda karey
kismat ki us lakeer se dar lagta hai.


Thursday, 12 January 2012

Mujhey kiya khabar thi k asal me wo frishta tha


Mujhey kiya khabar thi k asal me wo frishta tha
Jo Musafir ek thaka hara tha mere bagh me.


Thursday, 5 January 2012

Kabi tarp utha meri aah say

"Kabi tarp utha meri aah say,
Kbi ashak sy na pighal saka,
Sar-e- rah mila wo agr kbhi,
To nazar chura k guzar gia,
Wo utar gia meri ankh sy,
Mery dil sy q na utar saka,
Wo chala jahan chorr k,
main wahan sy phir na palat saka,
Wo sanbhal gia tha magr Faraz,
Main bikhar k phir na simatt saka"