Yeh Khaki apni fitrat mein.........na noori hai....na
naari hai.
*Hamey apney amaal ko bihter krna hoga, q k *AAMAAL
KA DAR-O-MADAAR NIYYATON PER HAI*, agar hamari niyet he kharab ho to duaa kya
asar rekhey gi? * Hum sab muslims ko Quraan aur Hadees ko apni zindagi me shamil
kr k he zindagi aur aakhirat ko sanwaarna chahiye. Quraan-e-paak ko samajh kr
parhna chahiye, agar is ko samajh kar na tilawat kiya jaye to hum kese jan sakty
hain k ALLAH kya hukam de raha hai apney bandon ko. Is k sath sath Hadees aur
uswah-e-Rasool (PBUH) ke perwi b zaroori hai Q k is k bina to hameyn na to
duniyan me aur na aakhirat me nijat aur kamyabi milsakti hai. Isiliye to Allamah
Iqbal Ney kya Khoob Fermaya hai:
"KI MUHAMMAD (PBUH) SE WAFA TOO NE TO HUM TEREY
HAIN
MATLAB k agar hum hukhm-e-Ilahi aur sunnat-e-Rasool(PBUH) ko
apnayen gey to ALLAH TAALA fermata hai k phir looh bhee teri hogi aur kalam bhee
tera hoga, jo chahe likh apne aamaal me. *Hum sab log itney sary firkon me
ghir chukey hain k kuch pata nhi chalta k kon sa molvi right hai aur konsa wrong
hai* Iski wajah kya hai? mere khiyal me to yhi hai k hum log study
nhi krty, agar kuch study krty han to usko samajh kar nhi parhtey k kya kaha ja
raha hai. agar hum khud AHADEES ka mutaliya(study) kryn to khud b apni
correction kr sakty hain. Quraan Majeed k bad SAHIH_MISLIM_BUKHARI SHAREEF Ki
ahadees ki kitab hai jis me her cheez biyan hai, kon sa kam RASOOL-E-KREEM
(PBUH) ne krny ka hukam diya aur kis tarah krna chahiye yeh bataya, aur kon sey
kam krny se mana farmaya. Agar kisi b problem ka solution na pata chalta ho ya
koi confussion ho molvi ki bat me to BUKHARI SHAREEF me search kro. Aur ALLAH se
hidayet ki har waqt dua krni chahiye. ALLAH fermata hai k me wahan wesa he
hukamraan ponhchata hun jesi wahan ki awaam ho, jese log wesa he unka sardar. is
se yehi result nikalta hai k sabse pehley logon ka acha ya bura hona samne ata
hai, agar AWAAM(people) achey hon to unka sardar acha aye ga, aur agar Awaan he
buri ho to un par ALLAH ne bura sardar he mussallat krna hai. >> Pehle
hamey apney aap ko perfect bana hoga phir hamey dosron tak yeh peghaam ponhchana
hai<<
**ALLAH HUM SAB K LIYE HAZRAT MUHAMMAD (PBUH) K SADKEY AASANIYAN ATTA FERMAYE**
**ALLAH HUM SAB K LIYE HAZRAT MUHAMMAD (PBUH) K SADKEY AASANIYAN ATTA FERMAYE**
By: Digital Communication
No comments:
Post a Comment
“You can't change the past, but you can ruin the present by worrying about the future”