Khud apne liye baith k sochein ge kisi din |
Khud
Apne Liye baith K Sochein Ge Kisi Din
Youn Hai K Thujhe Bhool K Dekhein Ge Kisi Din
Youn Hai K Thujhe Bhool K Dekhein Ge Kisi Din
Bhatake huwe Phirate hain kai lafz jo dil mein
Duniya ne diya Waqt to likhein ge kisii din
Hil jayein ge ik baar to arshoun ke Dar-o-Baam
ye Khaak nashein log jo bolein ge kisii din
Aapas ki kisi baat ka milta hi nahein Waqt
Har baat ye kehte hain k baithein ge kisi din
Aai jaan teri yaad ke be-naam parinde
shaaKhoun pe mere dard ki utarein ge kisi din
Jaati hai kisi jhil ki gehrai kahan tak
Aankhoun mein teri Doob ke dekhein ge kisi din
Khushbu se bhari shaam mein jugnu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likhein ge kisi din
Soyein ge teri Aankh ki Khlvat mein kisi raat
saaye mein teri zulf ke jagein ge kisi din
Khushbuu ki tarah, asl-e-sabaa Khaak numa se
Galiyoun se tere shehar ki guzarein ge kisi din
Mian hai yehi ab ke kafan baandh k sar se
Us Shehar-e-Sitam gar mein jayein ge kisi din
No comments:
Post a Comment
“You can't change the past, but you can ruin the present by worrying about the future”