Isn’t
it………….?
Marriage
or achievements?
Ek bat jo mere
zihan me khalbli machaye huwy hai k hamarey society me ek yeh bohat trend aam
hai k, Shadi krny k liye Girl (Larki) parhi likhi honi chahiye, aur Larki waley
kehty hian k Larka parha likha hona chahiye. Is k sath sath yeh bat ko main
issue banaya jata hai k AGE ZIADA NA HO chahy larka ho ya larki ho.
Ek bat ki samajh
nhi aati k agar ap log chahty hain k larky aur larki ka educated hona lazmi
hai, yeh hona chahiya, wo hona chahiye, to uski umar ki to thori to ho nhi
sakti. Qun k agat education complete krni hai to time to lagey ga he na. thory
years ki to bat ho nhi sakti.
Agar ek banda larka
ya larki Education complete kr rhy hain, they are going to achieve something,
they are thinking forward, they want to become a strong person to face/ solve
the problems, to compete the world, society. It is only possible, when one will
be the Educated.
To log khas kr to I
mean Larkion (girls) ko to yehi kehty hian is ko education dilani, warna iski
age ziada ho jaye gi, shaadi k kabil nhi rahy gi. What nonsense ……! Yeh is waja
se hota hai mere khiyal me k parents to itny educated nhi hoty, agar hoty hain
to negative sochty hain. Kitni ghalat tradition hai logon me….!
Ek banda jo life me
kuch achieve krna chahta hai to usy uska right diya jaye, Qun usey us k haq se
mehroom kiya jata hai? Kya shadi k ilawa aur koi kam nhi hai, aur koi maqsad
nhi hai diniyan me.
Parents ek limited
age fix krdety hain k isy (Larki ya Larka) ko yahan tak education hasil krni
hai bas is k bad he/she should stop.
Parents ka b is me
bohat amal-dakhal hai, unhy to apni aulad ko ek successful banana chahiye na k un ko yeh bat batani
chahiye k bas thori dair ha tumhari shadi kr deni hai.
Bary bary aged male
hotey hai apni age ko dekhty nhi, newspaper me add dety hain k 40 years male,
business man, ko ek BEAUTIFUL, WELL EDUCATED, 17 BPS ki employee, 25 YEARS age
ho, ka rishta required hai.
Kya combination
banaty hain 40 – 25, banda pochy k 25
years me bhala well educated kesy ho sakta hai.
Ek ahm bat yeh hai
hum logon ko ISLAMIC TEACHINGS (islami taalimaat) se awareness nhi hai. Hum log
ALLAH AUR US K RASOOL (PEACE BE UPON HIM) k ahkamaat k mutabik zindagi guzarni
chahiye.
HAZRAT MUHAMMAD
(Peace be upon him) Ne bhee jo shadiyan kin un sab me bhee hamarey liye hidayet
hai, UMM-O-HAAT-UL-MOMENEEN ki ages b different thin.
Me is topic pe is
liye bat kr raha hun k, Parents ko chahiye k agar koi bacha life me kuch
achieve kr raha hai to usko motivate krna chahiye, support krni chahiye na
usko discourage krni chahiye. Qun k Duniya me koi nhi chahta k us se koi dosra
us se ziada achieve kr ly magar sirf ek rishta hai aesa bas , aur who hain
Parents. PARENTS he chahtey hain k unki aulad unse ziada tarakki krey.
Ek bat hai k agar
aulad ya koi bacha negative activitives me hissa lene lag gya hai, ya negative
route pe chalny laga hai to kisi practical work me dalna chahiye, na k usko
force kr k Education me dala jaye. Qun k na to wo taleem hasil krey ga aur time
k sath money b zaiya krey ga. Parents ko aulad k sath friendly behave krna
chahiye Qun k jo bat bachey ne bahir doston k sath krni hai wo bat wo apne
parents k sath he discuss krey.
So,
First deserve then
desire. We must work hard and with this PRAY TO ALLAH, FOLLOW THE TEACHINGS OF
QURAAN-E-MAJEED. SUCCESS HAMAREY KADAM CHOOMEY GI.
ALLAH HUM SAB K DINIYAN ME
AUR AAKHIRAT ME DARJAAT BULAND FERMAYE(AAMEEN)
No comments:
Post a Comment
“You can't change the past, but you can ruin the present by worrying about the future”